KHwab ban kar har KHushi rah jaegi
ḳhvāb ban kar har ḳhushī rah jā.egī
bin tire kyā zindagī rah jā.egī
hijr kī manzar-kashī rah jā.egī
aañkh meñ yaaro namī rah jā.egī
panchhī saare peḌ se uḌ jā.eñge
sahn meñ ik ḳhāmushī rah jā.egī
yuuñ to sab hī log hoñge bazm meñ
tū na hogā to kamī rah jā.egī
jaane vaalā lauT kar na aa.egā
aañkh dar par hī jamī rah jā.egī
phir kahāñ afzal ḳhulūs-e-dostāñ
naam kī jab dostī rah jā.egī
KHwab ban kar har KHushi rah jaegi
bin tere kya zindagi rah jaegi
hijr ki manzar-kashi rah jaegi
aankh mein yaro nami rah jaegi
panchhi sare peD se uD jaenge
sahn mein ek KHamushi rah jaegi
yun to sab hi log honge bazm mein
tu na hoga to kami rah jaegi
jaane wala lauT kar na aaega
aankh dar par hi jami rah jaegi
phir kahan afzal KHulus-e-dostan
nam ki jab dosti rah jaegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.