KHwab barfani chita hai
ḳhvāb barfānī chitā hai
dhuup meñ rakkhā huā hai
ham ko patthar jānte ho
ḳhair apnā bhī ḳhudā hai
mere dukh sukh kā tamasḳhur
sab kā zaatī mas.ala hai
ek sannāTā hai dil meñ
ek nai meñ gūñjtā hai
maiñ nahīñ miltā kisī se
band phāTak boltā hai
saḳht arzāñ haiñ duā.eñ
besh-qīmat bad-duā hai
jeb meñ baara baje haiñ
zā.icha achchhā banā hai
sirf us ke dar se ummīd
sirf apnā aasrā hai
phuul sī nannhī hathelī
vaqt patthar toḌtā hai
KHwab barfani chita hai
dhup mein rakkha hua hai
hum ko patthar jaante ho
KHair apna bhi KHuda hai
mere dukh sukh ka tamasKHur
sab ka zati masala hai
ek sannaTa hai dil mein
ek nai mein gunjta hai
main nahin milta kisi se
band phaTak bolta hai
saKHt arzan hain duaen
besh-qimat bad-dua hai
jeb mein bara baje hain
zaicha achchha bana hai
sirf us ke dar se ummid
sirf apna aasra hai
phul si nannhi hatheli
waqt patthar toDta hai
- Book : Ghazal Ke Rang (Pg. 61)
- Author : Akram Naqqash, Sohil Akhtar
- Publication : Aflaak Publications, Gulbarga (2014)
- Edition : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.