KHwab jazira ban sakte the nahin bane
ḳhvāb jazīra ban sakte the nahīñ bane
ham bhī qissa ban sakte the nahīñ bane
kirneñ barf zamīnoñ tak pahuñchāne ko
bādal shīsha ban sakte the nahīñ bane
qatra qatra bahte rahe be-māya rahe
aañsū dariyā ban sakte the nahīñ bane
apnā ghar bhī DhūñD na paate kho jaate
jugnū añdherā ban sakte the nahīñ bane
ham do-chār mohabbat likhne vaale log
duniyā jaisā ban sakte the nahīñ bane
ḳhvāb tilāvat ho saktā thā nahīñ huā
dard sahīfa ban sakte the nahīñ bane
is birhā ke chāñd kī sūrat ham bhī 'tarīr'
raat ko katba ban sakte the nahīñ bane
KHwab jazira ban sakte the nahin bane
hum bhi qissa ban sakte the nahin bane
kirnen barf zaminon tak pahunchane ko
baadal shisha ban sakte the nahin bane
qatra qatra bahte rahe be-maya rahe
aansu dariya ban sakte the nahin bane
apna ghar bhi DhunD na pate kho jate
jugnu andhera ban sakte the nahin bane
hum do-chaar mohabbat likhne wale log
duniya jaisa ban sakte the nahin bane
KHwab tilawat ho sakta tha nahin hua
dard sahifa ban sakte the nahin bane
is birha ke chand ki surat hum bhi 'tarir'
raat ko katba ban sakte the nahin bane
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.