KHwab o tabir-e-be-nishan main tha
ḳhvāb o ta.abīr-e-be-nishāñ maiñ thā
ek rūdād-e-rā.egāñ maiñ thā
do taraf thā hujūm sadiyoñ kā
ek lamha sā darmiyāñ maiñ thā
bahte paanī pe jis kī thī buniyād
ḳhaam miTTī kā vo makāñ maiñ thā
maiñ vahāñ huuñ jahāñ nahīñ koī
kuchh nahīñ thā jahāñ vahāñ maiñ thā
sūrat-e-nuqta-e-hubāb 'ejāz'
mahram-e-bahr-e-bekarāñ maiñ thā
KHwab o tabir-e-be-nishan main tha
ek rudad-e-raegan main tha
do taraf tha hujum sadiyon ka
ek lamha sa darmiyan main tha
bahte pani pe jis ki thi buniyaad
KHam miTTi ka wo makan main tha
main wahan hun jahan nahin koi
kuchh nahin tha jahan wahan main tha
surat-e-nuqta-e-hubab 'ejaz'
mahram-e-bahr-e-bekaran main tha
- Book : Tahreek Silver Jubilee Number (Pg. 449)
- Author : Gopal Mittal, Makhmoor Saeedi, Prem Gopal Mittal
- Publication : Monthly Tahreek, 9, Ansari Market, Daryaganj, New Delhi-110002 (July, Aug., Sep. Oct. 1978,Volume No. 26,Issue No. 4,5,6,7,)
- Edition : July, Aug., Sep. Oct. 1978,Volume No. 26,Issue No. 4,5,6,7,
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.