KHwabon se na jao ki abhi raat bahut hai
ḳhvāboñ se na jaao ki abhī raat bahut hai
pahlū meñ tum aao ki abhī raat bahut hai
jī bhar ke tumheñ dekh luuñ taskīn ho kuchh to
mat sham.a bujhāo ki abhī raat bahut hai
kab pau phaTe kab raat kaTe kaun ye jaane
mat chhoḌ ke jaao ki abhī raat bahut hai
rahne do abhī chāñd sā chehra mire aage
mai aur pilāo ki abhī raat bahut hai
kaT jaa.e yūñhī pyaar kī bātoñ meñ har ik pal
kuchh jaago jagāo ki abhī raat bahut hai
KHwabon se na jao ki abhi raat bahut hai
pahlu mein tum aao ki abhi raat bahut hai
ji bhar ke tumhein dekh lun taskin ho kuchh to
mat shama bujhao ki abhi raat bahut hai
kab pau phaTe kab raat kaTe kaun ye jaane
mat chhoD ke jao ki abhi raat bahut hai
rahne do abhi chand sa chehra mere aage
mai aur pilao ki abhi raat bahut hai
kaT jae yunhi pyar ki baaton mein har ek pal
kuchh jago jagao ki abhi raat bahut hai
- Book : Mauje Aariz (Pg. 99)
- Author : Mauje Aariz
- Publication : Sahir Publishing House, Mumbay (1992)
- Edition : 1992
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.