KHwahish-o-KHwab ke aage bhi kahin jaana hai
ḳhvāhish-o-ḳhvāb ke aage bhī kahīñ jaanā hai
ishq ke baab se aage bhī kahīñ jaanā hai
kyuuñ nahīñ chhoḌtī āḳhir mujhe duniyā-dārī
māl-o-asbāb se aage bhī kahīñ jaanā hai
dene vaale tū mujhe niiñd na de ḳhvāb to de
mujh ko mahtāb se aage bhī kahīñ jaanā hai
jaane kyuuñ rok rahī hai mujhe ashkoñ kī qatār
chashm-e-pur-āb se aage bhī kahīñ jaanā hai
kyuuñ lipaTtā hai mire saath ye dariyā āḳhir
mujh ko girdāb se aage bhī kahīñ jaanā hai
KHwahish-o-KHwab ke aage bhi kahin jaana hai
ishq ke bab se aage bhi kahin jaana hai
kyun nahin chhoDti aaKHir mujhe duniya-dari
mal-o-asbab se aage bhi kahin jaana hai
dene wale tu mujhe nind na de KHwab to de
mujh ko mahtab se aage bhi kahin jaana hai
jaane kyun rok rahi hai mujhe ashkon ki qatar
chashm-e-pur-ab se aage bhi kahin jaana hai
kyun lipaTta hai mere sath ye dariya aaKHir
mujh ko girdab se aage bhi kahin jaana hai
- Book : Adab-o-Saqafat International (Pg. 107)
- Author : Shakeelsarosh
- Publication : Misal Publishers Raheem Center Press Market Ameen Pur Bazar, Faisalbad, Pakistan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.