ki justuju to ek naya ghar mila mujhe
kī justujū to ek nayā ghar milā mujhe
barsoñ ke ba.ad merā muqaddar milā mujhe
jab tishnagī baḌhī to masīhā na thā koī
jab pyaas bujh ga.ī to samundar milā mujhe
duniyā mire ḳhilāf nabard-āzmā rahī
lekin vo ek shaḳhs barābar milā mujhe
zaḳhm-e-nigāh zaḳhm-e-hunar zaḳhm-e-dil ke ba.ad
ik aur zaḳhm tujh se bichhaḌ kar milā mujhe
nāzuk-ḳhayāliyoñ kī mujhe ye sazā milī
shīsha tarāshne ko bhī patthar milā mujhe
ki justuju to ek naya ghar mila mujhe
barson ke baad mera muqaddar mila mujhe
jab tishnagi baDhi to masiha na tha koi
jab pyas bujh gai to samundar mila mujhe
duniya mere KHilaf nabard-azma rahi
lekin wo ek shaKHs barabar mila mujhe
zaKHm-e-nigah zaKHm-e-hunar zaKHm-e-dil ke baad
ek aur zaKHm tujh se bichhaD kar mila mujhe
nazuk-KHayaliyon ki mujhe ye saza mili
shisha tarashne ko bhi patthar mila mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.