kis ne kaha ki chup hun miyan bolta nahin
kis ne kahā ki chup huuñ miyāñ boltā nahīñ
jab aag boltī ho dhuāñ boltā nahīñ
raste kī baat ġhaur se suntā huuñ is liye
rah meñ kisī se ham-safarāñ boltā nahīñ
yuuñ to har ek shaḳhs kā apnā hī shor hai
lekin kisī se koī yahāñ boltā nahīñ
bas yūñhī pūchhtā huuñ makīnoñ kā hāl-chāl
barsoñ se band hai ye makāñ boltā nahīñ
sar khā liyā hai dil ne mirā bol bol kar
kahtā huuñ maiñ jahāñ pe vahāñ boltā nahīñ
kitnī hī dāstāneñ sunātā hai lahr lahr
kahne ko yuuñ to āb-e-ravāñ boltā nahīñ
dil meñ utartā jaatā hai us kā kahā huā
chāhe vo shaḳhs merī zabāñ boltā nahīñ
kis ne kaha ki chup hun miyan bolta nahin
jab aag bolti ho dhuan bolta nahin
raste ki baat ghaur se sunta hun is liye
rah mein kisi se ham-safaran bolta nahin
yun to har ek shaKHs ka apna hi shor hai
lekin kisi se koi yahan bolta nahin
bas yunhi puchhta hun makinon ka haal-chaal
barson se band hai ye makan bolta nahin
sar kha liya hai dil ne mera bol bol kar
kahta hun main jahan pe wahan bolta nahin
kitni hi dastanen sunata hai lahr lahr
kahne ko yun to aab-e-rawan bolta nahin
dil mein utarta jata hai us ka kaha hua
chahe wo shaKHs meri zaban bolta nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.