kise KHabar thi ki isko bhi TuT jaana tha
kise ḳhabar thī ki is ko bhī TuuT jaanā thā
hamārā aap se rishta bahut purānā thā
ham apne shahr se ho kar udaas aa.e the
tumhāre shahr se ho kar udaas jaanā thā
sadā lagā.ī magar koī bhī nahīñ palTā
har ek shaḳhs na jaane kahāñ ravāna thā
yuuñ chup huā ki phir āñkheñ hī DabDabā uTThīñ
na jaane us ko abhī aur kyā batānā thā
kise paḌī thī mirā haal pūchhtā mujh se
mujhe to rasm nibhānī thī muskurānā thā
bhanak na jaane ye kaise lagī havāoñ ko
ki mujh ko rāhguzar par diyā jalānā thā
chhupī thī is meñ hī tamhīd bhī judā.ī kī
hamārā aap se milnā to ik bahāna thā
tujhe ḳhabar hī nahīñ mere jītne vaale
tire liye to hamesha hī haar jaanā thā
nigāh-e-shauq se yuuñ ġhair ko tirā taknā
'navāz' aur nahīñ kuchh mujhe satānā thā
kise KHabar thi ki is ko bhi TuT jaana tha
hamara aap se rishta bahut purana tha
hum apne shahr se ho kar udas aae the
tumhaare shahr se ho kar udas jaana tha
sada lagai magar koi bhi nahin palTa
har ek shaKHs na jaane kahan rawana tha
yun chup hua ki phir aankhen hi DabDaba uTThin
na jaane us ko abhi aur kya batana tha
kise paDi thi mera haal puchhta mujh se
mujhe to rasm nibhani thi muskurana tha
bhanak na jaane ye kaise lagi hawaon ko
ki mujh ko rahguzar par diya jalana tha
chhupi thi is mein hi tamhid bhi judai ki
hamara aap se milna to ek bahana tha
tujhe KHabar hi nahin mere jitne wale
tere liye to hamesha hi haar jaana tha
nigah-e-shauq se yun ghair ko tera takna
'nawaz' aur nahin kuchh mujhe satana tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.