kisi KHayal ki hiddat se jalna chahti hun
kisī ḳhayāl kī hiddat se jalnā chāhtī huuñ
maiñ lafz lafz ġhazal meñ pighalnā chāhtī huuñ
ajiib mausam-e-dil hai ajiib majbūrī
na ḳhud se rūThūñ na tum se bichhaḌnā chāhtī huuñ
pahan ke ḳhvāb-e-qabā DhūñD lūñgī chāñd-nagar
sahaj sahaj kisī bādal pe chalnā chāhtī huuñ
haqīqateñ to mire roz o shab kī sāthī haiñ
maiñ roz o shab kī haqīqat badalnā chāhtī huuñ
kabhī to ḳhud-nigarī kī fasīl se bāhar
ḳhud apne saath safar par nikalnā chāhtī huuñ
kisi KHayal ki hiddat se jalna chahti hun
main lafz lafz ghazal mein pighalna chahti hun
ajib mausam-e-dil hai ajib majburi
na KHud se ruThun na tum se bichhaDna chahti hun
pahan ke KHwab-e-qaba DhunD lungi chand-nagar
sahaj sahaj kisi baadal pe chalna chahti hun
haqiqaten to mere roz o shab ki sathi hain
main roz o shab ki haqiqat badalna chahti hun
kabhi to KHud-nigari ki fasil se bahar
KHud apne sath safar par nikalna chahti hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.