Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kisi surat agar izhaar ki surat nikal aae

Arshad Lateef

kisi surat agar izhaar ki surat nikal aae

Arshad Lateef

MORE BYArshad Lateef

    kisī sūrat agar iz.hār sūrat nikal aa.e

    to mumkin hai kisī se pyaar sūrat nikal aa.e

    masīhā.ī pe vo kāfir agar īmān le aa.e

    shifā shakl meñ bīmār sūrat nikal aa.e

    agar vo bevafā zid chhoḌ de aur Thiik ho jaa.e

    to shāyad phir mire ghar-bār sūrat nikal aa.e

    koī to mo.ajaza aisā bhī ho apnī mohabbat meñ

    tire inkār se iqrār sūrat nikal aa.e

    bahut din ho ga.e 'arshad' vo mukhḌā chāñd dekhe

    duā karnā koī dīdār sūrat nikal aa.e

    kisi surat agar izhaar ki surat nikal aae

    to mumkin hai kisi se pyar ki surat nikal aae

    masihai pe wo kafir agar iman le aae

    shifa ki shakl mein bimar ki surat nikal aae

    agar wo bewafa zid chhoD de aur Thik ho jae

    to shayad phir mere ghar-bar ki surat nikal aae

    koi to moajaza aisa bhi ho apni mohabbat mein

    tere inkar se iqrar ki surat nikal aae

    bahut din ho gae 'arshad' wo mukhDa chand sa dekhe

    dua karna koi didar ki surat nikal aae

    Source :
    • Book : Urdu Gazal Ka Magribi Daricha (Pg. 182)
    • Author : Dr. Jawaz Jafri
    • Publication : Kitabsaray Lahore (Pakistan) (2011)
    • Edition : 2011
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now