Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kitne dip bujhte hain kitne dip jalte hain

Sahba lakhnavi

kitne dip bujhte hain kitne dip jalte hain

Sahba lakhnavi

MORE BYSahba lakhnavi

    kitne diip bujhte haiñ kitne diip jalte haiñ

    azm-e-zindagī le kar phir bhī log chalte haiñ

    kārvāñ ke chalne se kārvāñ ke rukne tak

    manzileñ nahīñ yaaro rāste badalte haiñ

    mauj mauj tūfāñ hai mauj mauj sāhil hai

    kitne Duub jaate haiñ kitne bach nikalte haiñ

    mehr-o-māh-o-anjum bhī ab asīr-e-getī haiñ

    fikr-e-nau azmat se roz-o-shab badalte haiñ

    bahr-o-bar ke siine bhī ziist ke safīne bhī

    tīrgī nigalte haiñ raushnī ugalte haiñ

    ik bahār aatī hai ik bahār jaatī hai

    ġhunche muskurāte haiñ phuul haath malte haiñ

    kitne dip bujhte hain kitne dip jalte hain

    azm-e-zindagi le kar phir bhi log chalte hain

    karwan ke chalne se karwan ke rukne tak

    manzilen nahin yaro raste badalte hain

    mauj mauj tufan hai mauj mauj sahil hai

    kitne Dub jate hain kitne bach nikalte hain

    mehr-o-mah-o-anjum bhi ab asir-e-geti hain

    fikr-e-nau ki azmat se roz-o-shab badalte hain

    bahr-o-bar ke sine bhi zist ke safine bhi

    tirgi nigalte hain raushni ugalte hain

    ek bahaar aati hai ek bahaar jati hai

    ghunche muskuraate hain phul hath malte hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now