kitne sawal sab ki nigahon mein rakh diye
kitne savāl sab kī nigāhoñ meñ rakh diye
ghar ke sabhī charāġh havāoñ meñ rakh diye
ye inqalāb-e-gardish-e-daurāñ to dekhiye
ajsām kaise kaisī qabāoñ meñ rakh diye
mahfil meñ sher hī nahīñ kuchh raushnī ba-dosh
anvār ham ne dil kī fazāoñ meñ rakh diye
har shaḳhs chāhtā hai ki hoñ us pe āshkār
asrār tū ne kaise gunāhoñ meñ rakh diye
fitrat kā ye sitam bhī hai 'dānish' ajiib chiiz
sar kaise kaise kaisī kulāhoñ meñ rakh diye
kitne sawal sab ki nigahon mein rakh diye
ghar ke sabhi charagh hawaon mein rakh diye
ye inqalab-e-gardish-e-dauran to dekhiye
ajsam kaise kaisi qabaon mein rakh diye
mahfil mein sher hi nahin kuchh raushni ba-dosh
anwar hum ne dil ki fazaon mein rakh diye
har shaKHs chahta hai ki hon us pe aashkar
asrar tu ne kaise gunahon mein rakh diye
fitrat ka ye sitam bhi hai 'danish' ajib chiz
sar kaise kaise kaisi kulahon mein rakh diye
- Book : Shora-e-London (Pg. 86)
- Author : Jauhar Zahiri
- Publication : Books From India (U.K) Ltd. 45, Museum Street,Londan W.C-1 (1985)
- Edition : 1985
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.