koi halchal hai na aahaT na sada hai koi
koī halchal hai na aahaT na sadā hai koī
dil kī dahlīz pe chup-chāp khaḌā hai koī
ek ik kar ke ubhartī haiñ ka.ī tasvīreñ
sar jhukā.e hue kuchh soch rahā hai koī
ġham kī vaadī hai na yādoñ kā sulagtā jañgal
haa.e aise meñ kahāñ chhoḌ gayā hai koī
yād-e-māzī kī pur-asrār hasīñ galiyoñ meñ
mere hamrāh abhī ghuum rahā hai koī
jab bhī dekhā hai kisī pyaar kā aañsū 'jāmī'
maiñ ne jaanā mire nazdīk huā hai koī
koi halchal hai na aahaT na sada hai koi
dil ki dahliz pe chup-chap khaDa hai koi
ek ek kar ke ubharti hain kai taswiren
sar jhukae hue kuchh soch raha hai koi
gham ki wadi hai na yaadon ka sulagta jangal
hae aise mein kahan chhoD gaya hai koi
yaad-e-mazi ki pur-asrar hasin galiyon mein
mere hamrah abhi ghum raha hai koi
jab bhi dekha hai kisi pyar ka aansu 'jami'
main ne jaana mere nazdik hua hai koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.