koi ham-dam na raha koi sahaara na raha
koī ham-dam na rahā koī sahārā na rahā
ham kisī ke na rahe koī hamārā na rahā
shaam tanhā.ī kī hai aa.egī manzil kaise
jo mujhe raah dikhā de vahī taarā na rahā
ai nazāro na hañso mil na sakūñgā tum se
tum mire ho na sake maiñ bhī tumhārā na rahā
kyā batā.ūñ maiñ kahāñ yūñhī chalā jaatā huuñ
jo mujhe phir se bulā le vo ishāra na rahā
koi ham-dam na raha koi sahaara na raha
hum kisi ke na rahe koi hamara na raha
sham tanhai ki hai aaegi manzil kaise
jo mujhe rah dikha de wahi tara na raha
ai nazaro na hanso mil na sakunga tum se
tum mere ho na sake main bhi tumhaara na raha
kya bataun main kahan yunhi chala jata hun
jo mujhe phir se bula le wo ishaara na raha
- Book : Kulliyat-e-Majrooh Sultanpuri (Pg. 198)
- Author : Majrooh sultanpri
- Publication : Alhamd Publications
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.