koi qusur nahin meri KHush-gumani ka
koī qusūr nahīñ merī ḳhush-gumānī kā
asar hai ye tirī āñkhoñ kī be-zabānī kā
kisī ne merī mohabbat ko kar liyā mahfūz
ḳhayāl aayā kisī ko to pāsbānī kā
barā.e naam sā pul bhī nahīñ banā mujh se
ki kuchh ilaaj nahīñ thā tirī ravānī kā
hamāre dil kā alamnāk daur hai shāyad
samajh rahe haiñ jise khel sab javānī kā
vo dāstān mukammal kare to achchhā hai
mujhe milā hai zarā sā sirā kahānī kā
koi qusur nahin meri KHush-gumani ka
asar hai ye teri aankhon ki be-zabani ka
kisi ne meri mohabbat ko kar liya mahfuz
KHayal aaya kisi ko to pasbani ka
barae nam sa pul bhi nahin bana mujh se
ki kuchh ilaj nahin tha teri rawani ka
hamare dil ka alamnak daur hai shayad
samajh rahe hain jise khel sab jawani ka
wo dastan mukammal kare to achchha hai
mujhe mila hai zara sa sira kahani ka
- Book : Wajah-e-Begangi (Pg. 49)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.