koi shisha na dar salamat hai
koī shīsha na dar salāmat hai
ghar mirā dasht kī amānat hai
saare jazboñ ke bāñdh TuuT ga.e
us ne bas ye kahā ijāzat hai
jaan kar fāsle se milnā bhī
āshnā.ī kī ik alāmat hai
us se har rasm-o-rāh toḌ to dī
dil ko lekin bahut nadāmat hai
rū-ba-rū us ke ek shab jo hue
ham ne jaanā ki kyā ināyat hai
do qadam saath chal ke jaan liyā
kyā safar aur kyā masāfat hai
kal siyāsat meñ bhī mohabbat thī
ab mohabbat meñ bhī siyāsat hai
raat palkoñ pe dil dhaḌaktā thā
terā va.ada bhī kyā qayāmat hai
koi shisha na dar salamat hai
ghar mera dasht ki amanat hai
sare jazbon ke bandh TuT gae
us ne bas ye kaha ijazat hai
jaan kar fasle se milna bhi
aashnai ki ek alamat hai
us se har rasm-o-rah toD to di
dil ko lekin bahut nadamat hai
ru-ba-ru us ke ek shab jo hue
hum ne jaana ki kya inayat hai
do qadam sath chal ke jaan liya
kya safar aur kya masafat hai
kal siyasat mein bhi mohabbat thi
ab mohabbat mein bhi siyasat hai
raat palkon pe dil dhaDakta tha
tera wada bhi kya qayamat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.