koshish bhi ye KHilaf-e-tabiat kabhi na ki
koshish bhī ye ḳhilāf-e-tabī.at kabhī na kī
āsān rāstoñ kī siyāhat kabhī na kī
ham ne diloñ ko jiitā hai husn-e-sulūk se
teġh-o-tabar ke bal pe hukūmat kabhī na kī
ham pāsbān-e-amn-o-amāñ hī rahe sadā
ġhārat-garī kī ham ne vakālat kabhī na
bejā navāzishoñ ke na qaa.il kabhī the ham
māl-o-matā' kī koī chāhat kabhī na kī
guzre haiñ kitnī baar sanam-ḳhānoñ se magar
us ke sivā kisī kī ibādat kabhī na kī
haiñ mohtaram hamāre liye ambiyā tamām
ham ne kisī nabī kī ihānat kabhī na kī
jab bhī chale haiñ jāda-e-haq par chale haiñ ham
ham ne munāfiqoñ kī itā.at kabhī na kī
kī haiñ zamīn-e-dil pe mohabbat kī khetiyāñ
fasl-e-hasad kī ham ne zarā.at kabhī na kī
maulā se maġhfirat ke alāva duā meñ 'shād'
kuchh aur māñgne kī jasārat kabhī na kī
koshish bhi ye KHilaf-e-tabiat kabhi na ki
aasan raston ki siyahat kabhi na ki
hum ne dilon ko jita hai husn-e-suluk se
tegh-o-tabar ke bal pe hukumat kabhi na ki
hum pasban-e-amn-o-aman hi rahe sada
ghaarat-gari ki hum ne wakalat kabhi na
beja nawazishon ke na qail kabhi the hum
mal-o-mata' ki koi chahat kabhi na ki
guzre hain kitni bar sanam-KHanon se magar
us ke siwa kisi ki ibaadat kabhi na ki
hain mohtaram hamare liye ambiya tamam
hum ne kisi nabi ki ihanat kabhi na ki
jab bhi chale hain jada-e-haq par chale hain hum
hum ne munafiqon ki itaat kabhi na ki
ki hain zamin-e-dil pe mohabbat ki khetiyan
fasl-e-hasad ki hum ne zaraat kabhi na ki
maula se maghfirat ke alawa dua mein 'shad'
kuchh aur mangne ki jasarat kabhi na ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.