Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kuchh ajab aan se logon mein raha karte the

Shaz Tamkanat

kuchh ajab aan se logon mein raha karte the

Shaz Tamkanat

MORE BYShaz Tamkanat

    kuchh ajab aan se logoñ meñ rahā karte the

    ham ḳhafā ho ke bhī aapas meñ milā karte the

    itnī tahzīb-e-rah-o-rasm to baaqī thī ki vo

    laakh ranjish sahī va.ada to vafā karte the

    us ne pūchhā thā ka.ī baar magar kyā kahte

    ham mizājan pareshān rahā karte the

    ḳhatm thā ham pe mohabbat tamāshā goyā

    ruuh aur jism ko har roz judā karte the

    ek chup-chāp lagan thī tire baare meñ

    log aa aa ke sunāte the sunā karte the

    terī sūrat se ḳhudā se bhī shanāsā.ī thī

    kaise kaise tire milne duā karte the

    us ko ham-rāh liye aate the merī ḳhātir

    mere ġham-ḳhvār mire haq meñ burā karte the

    zindagī ham se tire naaz uThā.e na ga.e

    saañs lene faqat rasm adā karte the

    ham baras paḌte the 'shāz' apnī tanhā.ī par

    abr tarah kisī dar se uThā karte the

    kuchh ajab aan se logon mein raha karte the

    hum KHafa ho ke bhi aapas mein mila karte the

    itni tahzib-e-rah-o-rasm to baqi thi ki wo

    lakh ranjish sahi wada to wafa karte the

    us ne puchha tha kai bar magar kya kahte

    hum mizajan hi pareshan raha karte the

    KHatm tha hum pe mohabbat ka tamasha goya

    ruh aur jism ko har roz juda karte the

    ek chup-chap lagan si thi tere bare mein

    log aa aa ke sunate the suna karte the

    teri surat se KHuda se bhi shanasai thi

    kaise kaise tere milne ki dua karte the

    us ko ham-rah liye aate the meri KHatir

    mere gham-KHwar mere haq mein bura karte the

    zindagi hum se tere naz uThae na gae

    sans lene ki faqat rasm ada karte the

    hum baras paDte the 'shaz' apni hi tanhai par

    abr ki tarah kisi dar se uTha karte the

    Source:

    Kulliyat-e- Shaz Tamkanat (Pg. 431)

    • Author: Shaz Tamkanat
      • Edition: 2004
      • Publisher: Educational Publishing House, Delhi
      • Year of Publication: 2004
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now