kuchh bhi ho wo ab dil se juda ho nahin sakte
kuchh bhī ho vo ab dil se judā ho nahīñ sakte
ham mujrim-e-tauhīn-e-vafā ho nahīñ sakte
ai mauj-e-havādis tujhe mālūm nahīñ kyā
ham ahl-e-mohabbat haiñ fanā ho nahīñ sakte
itnā to batā jaao ḳhafā hone se pahle
vo kyā kareñ jo tum se ḳhafā ho nahīñ sakte
ik aap kā dar hai mirī duniyā-e-aqīdat
ye sajde kahīñ aur adā ho nahīñ sakte
ahbāb pe dīvāne 'asad' kaisā bharosa
ye zahr bhare ghūñT ravā ho nahīñ sakte
kuchh bhi ho wo ab dil se juda ho nahin sakte
hum mujrim-e-tauhin-e-wafa ho nahin sakte
ai mauj-e-hawadis tujhe malum nahin kya
hum ahl-e-mohabbat hain fana ho nahin sakte
itna to bata jao KHafa hone se pahle
wo kya karen jo tum se KHafa ho nahin sakte
ek aap ka dar hai meri duniya-e-aqidat
ye sajde kahin aur ada ho nahin sakte
ahbab pe diwane 'asad' kaisa bharosa
ye zahr bhare ghunT rawa ho nahin sakte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.