kuchh is tarah KHamosh hain sunsan hain saDken
kuchh is tarah ḳhāmosh haiñ sunsān haiñ saḌkeñ
jaise kisī vīrāne kī mehmān haiñ saḌkeñ
is ramz ko rah-gīr samajhte haiñ ba-ḳhūbī
sab jaan ke pahchān ke anjān haiñ saḌkeñ
bastī meñ bhī kuchh aise añdhere haiñ jahāñ par
jhulse hue jismoñ kā shabistān haiñ saḌkeñ
ārām jinheñ ghar meñ mayassar nahīñ aatā
har haal meñ un ke liye vardān haiñ saḌkeñ
mahloñ kī yahī saḌkeñ baḌhātī haiñ sadā shaan
phir kis liye mahloñ se pashemān haiñ saḌkeñ
jo dekhte haiñ din meñ hiqārat kī nazar se
'mehr' un ke liye shab meñ paristān haiñ saḌkeñ
kuchh is tarah KHamosh hain sunsan hain saDken
jaise kisi virane ki mehman hain saDken
is ramz ko rah-gir samajhte hain ba-KHubi
sab jaan ke pahchan ke anjaan hain saDken
basti mein bhi kuchh aise andhere hain jahan par
jhulse hue jismon ka shabistan hain saDken
aaram jinhen ghar mein mayassar nahin aata
har haal mein un ke liye wardan hain saDken
mahlon ki yahi saDken baDhati hain sada shan
phir kis liye mahlon se pasheman hain saDken
jo dekhte hain din mein hiqarat ki nazar se
'mehr' un ke liye shab mein paristan hain saDken
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.