kuchh is tarah se tera gham diye jalata tha
kuchh is tarah se terā ġham diye jalātā thā
ki ḳhāk-e-dil kā har ik zarra jagmagātā thā
isī liye na kiyā talḳhī-e-jahāñ kā galā
tirā ḳhayāl pas-e-parda muskurātā thā
na yaad rakhtā thā mujh ko na bhuul jaatā thā
kabhī kabhī vo mujhe yuuñ bhī āzmātā thā
har aa.ina thā sarāpā hijāb mere liye
maiñ apne aap ko dekhūñ nazar vo aatā thā
nazar churā ke vo guzrā qarīb se lekin
nazar bachā ke mujhe dekhtā bhī jaatā thā
ġhazal ke lahje meñ hotī thī guftugū us se
vazāhatoñ meñ bhī ib.hām rah hī jaatā thā
vahāñ bhī sāya-e-dīvār us kā yaad rahā
ḳhud apnā saaya jahāñ saath chhoḌ jaatā thā
udaas kamra mahaktā thā kis kī yādoñ se
vo kaun shaḳhs thā kyā thā kahāñ se aatā thā
chamakte the dar-o-dīvār ā.inoñ kī tarah
in ā.inoñ meñ koī aks muskurātā thā
ye ḳhvāb hī mirī tanhā.iyoñ kā hāsil thā
ye ḳhvāb hī mirī tanhā.iyāñ baḌhātā thā
kuchh is tarah se tera gham diye jalata tha
ki KHak-e-dil ka har ek zarra jagmagata tha
isi liye na kiya talKHi-e-jahan ka gala
tera KHayal pas-e-parda muskuraata tha
na yaad rakhta tha mujh ko na bhul jata tha
kabhi kabhi wo mujhe yun bhi aazmata tha
har aaina tha sarapa hijab mere liye
main apne aap ko dekhun nazar wo aata tha
nazar chura ke wo guzra qarib se lekin
nazar bacha ke mujhe dekhta bhi jata tha
ghazal ke lahje mein hoti thi guftugu us se
wazahaton mein bhi ibham rah hi jata tha
wahan bhi saya-e-diwar us ka yaad raha
KHud apna saya jahan sath chhoD jata tha
udas kamra mahakta tha kis ki yaadon se
wo kaun shaKHs tha kya tha kahan se aata tha
chamakte the dar-o-diwar aainon ki tarah
in aainon mein koi aks muskuraata tha
ye KHwab hi meri tanhaiyon ka hasil tha
ye KHwab hi meri tanhaiyan baDhata tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.