kuchh kah ke usne phir mujhe diwana kar diya
kuchh kah ke us ne phir mujhe dīvāna kar diyā
itnī sī baat thī jise afsāna kar diyā
vo shab ko be-hijāb jo mahfil meñ aa ga.e
kyā nuur thā ki sham.a ko parvāna kar diyā
is dil kī hai bahār-o-ḳhizāñ un ke haath meñ
gulshan banā diyā kabhī vīrāna kar diyā
chāhā jise ki dil se ye ho jaa.e āshnā
donoñ jahān se use begāna kar diyā
kyā mere dil ke saath kiyā ishq ne sulūk
ik āshnā thā us ko bhī begāna kar diyā
kuchh kah ke us ne phir mujhe diwana kar diya
itni si baat thi jise afsana kar diya
wo shab ko be-hijab jo mahfil mein aa gae
kya nur tha ki shama ko parwana kar diya
is dil ki hai bahaar-o-KHizan un ke hath mein
gulshan bana diya kabhi virana kar diya
chaha jise ki dil se ye ho jae aashna
donon jahan se use begana kar diya
kya mere dil ke sath kiya ishq ne suluk
ek aashna tha us ko bhi begana kar diya
- Book : غزل اس نے چھیڑی (Pg. 209)
- Author : فرحت احساس
- Publication : ریختہ بکس بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا (2017)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.