kuchh KHwab kuchh KHayal mein mastur ho gae
kuchh ḳhvāb kuchh ḳhayāl meñ mastūr ho ga.e
tum kyā qarīb nikle ki sab duur ho ga.e
āñkhoñ ke dar the band to jiinā muhāl thā
āñkheñ khulīñ to aur bhī ma.azūr ho ga.e
aise chhape ki surma-e-chashm-e-jahāñ hue
aise khule ki barq-e-sar-e-tūr ho ga.e
jādūgarī ke raaz se nā-āshnā na the
ham to tire ḳhayāl se majbūr ho ga.e
miTTī pe aa ga.ī thī zarā der ko bahār
bas log itnī baat pe maġhrūr ho ga.e
patthar to puuje jaate haiñ is raah meñ 'jamīl'
tum to zarā sī Thes lagī chuur ho ga.e
kuchh KHwab kuchh KHayal mein mastur ho gae
tum kya qarib nikle ki sab dur ho gae
aankhon ke dar the band to jina muhaal tha
aankhen khulin to aur bhi mazur ho gae
aise chhape ki surma-e-chashm-e-jahan hue
aise khule ki barq-e-sar-e-tur ho gae
jadugari ke raaz se na-ashna na the
hum to tere KHayal se majbur ho gae
miTTi pe aa gai thi zara der ko bahaar
bas log itni baat pe maghrur ho gae
patthar to puje jate hain is rah mein 'jamil'
tum to zara si Thes lagi chur ho gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.