kuchh log samajhne hi ko tayyar nahin the
kuchh log samajhne hī ko tayyār nahīñ the
ham varna koī uqda-e-dushvār nahīñ the
sad-haif ki dekhā hai tujhe dhuup se be-kal
afsos ki ham sāya-e-dīvār nahīñ the
ham itne pareshāñ the ki hāl-e-dil-e-sozāñ
un ko bhī sunāyā ki jo ġham-ḳhvār nahīñ the
sach ye hai ki ik 'umr guzārī sar-e-maqtal
ham kaun se lamhe meñ sar-e-dār nahīñ the
maanā ki bahut tez thī raftār-e-havādis
ham bhī koī girtī huī dīvār nahīñ the
ye us kī ‘ināyat hai ki apnā ke tumheñ 'shauq'
vo zaḳhm diye jin ke sazā-vār nahīñ the
kuchh log samajhne hi ko tayyar nahin the
hum warna koi uqda-e-dushwar nahin the
sad-haif ki dekha hai tujhe dhup se be-kal
afsos ki hum saya-e-diwar nahin the
hum itne pareshan the ki haal-e-dil-e-sozan
un ko bhi sunaya ki jo gham-KHwar nahin the
sach ye hai ki ek 'umr guzari sar-e-maqtal
hum kaun se lamhe mein sar-e-dar nahin the
mana ki bahut tez thi raftar-e-hawadis
hum bhi koi girti hui diwar nahin the
ye us ki ‘inayat hai ki apna ke tumhein 'shauq'
wo zaKHm diye jin ke saza-war nahin the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.