kuchh usko yaad karun us ka intizar karun
kuchh us ko yaad karūñ us kā intizār karūñ
bahut sukūt hai maiñ ḳhud ko be-qarār karūñ
bharūñ maiñ rañg na.e muzmahil tamannā meñ
udaas raat ko āsūda-e-bahār karūñ
kuchh aur chaah baḌhā.ūñ kuchh aur dard sahūñ
jo mujh se duur hai yuuñ us ko ham-kanār karūñ
vafā ke naam pe kyā kyā jafā.eñ hotī rahīñ
maiñ har libās-e-jafā aaj taar taar karūñ
vo merī raah meñ kāñTe bichhā.e maiñ lekin
usī ko pyaar karūñ us pe e'tibār karūñ
ye mere ḳhvāb mirī zindagī kā sarmāya
na kyuuñ ye ḳhvāb bhī maiñ aaj nazr-e-yār karūñ
kuchh us ko yaad karun us ka intizar karun
bahut sukut hai main KHud ko be-qarar karun
bharun main rang nae muzmahil tamanna mein
udas raat ko aasuda-e-bahaar karun
kuchh aur chah baDhaun kuchh aur dard sahun
jo mujh se dur hai yun us ko ham-kanar karun
wafa ke nam pe kya kya jafaen hoti rahin
main har libas-e-jafa aaj tar tar karun
wo meri rah mein kanTe bichhae main lekin
usi ko pyar karun us pe e'tibar karun
ye mere KHwab meri zindagi ka sarmaya
na kyun ye KHwab bhi main aaj nazr-e-yar karun
- Book : Pakistani Adab (Pg. 298)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.