kul jahan ek aaina hai husn ki tahrir ka
kul jahāñ ik ā.īna hai husn kī tahrīr kā
haal kis patthar pe likkhā hai mirī taqdīr kā
chāñd us kā āsmāñ us kā sar-e-shām-e-visāl
jis pe saaya ho tirī zulf-e-sitāra-gīr kā
kī na chashm-e-shauq ne jumbish-e-hujūm-e-rañg meñ
mujh pe taarī ho gayā aalam tirī tasvīr kā
maiñ use samjhūñ na samjhūñ dil ko hotā hai zarūr
laala o gul par gumāñ ik ajnabī tahrīr kā
chain se donoñ nahīñ is ālam-e-ehsās meñ
maiñ tirī chup kā huuñ zaḳhmī tū mirī taqrīr kā
kul jahan ek aaina hai husn ki tahrir ka
haal kis patthar pe likkha hai meri taqdir ka
chand us ka aasman us ka sar-e-sham-e-visal
jis pe saya ho teri zulf-e-sitara-gir ka
ki na chashm-e-shauq ne jumbish-e-hujum-e-rang mein
mujh pe tari ho gaya aalam teri taswir ka
main use samjhun na samjhun dil ko hota hai zarur
lala o gul par guman ek ajnabi tahrir ka
chain se donon nahin is aalam-e-ehsas mein
main teri chup ka hun zaKHmi tu meri taqrir ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.