kya bataun ki jo hangama bapa hai mujh mein
kyā batā.ūñ ki jo hangāma bapā hai mujh meñ
in dinoñ koī bahut saḳht ḳhafā hai mujh meñ
us kī ḳhush-bū kahīñ atrāf meñ phailī huī hai
sub.h se raqs-kunāñ bād-e-sabā hai mujh meñ
terī sūrat meñ tujhe DhūñD rahā huuñ maiñ bhī
ġhāliban tū bhī mujhe DhūñD rahā hai mujh meñ
ek hī samt har ik ḳhvāb chalā jaatā hai
yaad hai yā koī naqsh-e-kaf-e-pā hai mujh meñ
merī be-rāh-ravī is liye sarshār sī hai
mere haq meñ koī masrūf-e-duā hai mujh meñ
apnī sāñsoñ kī kasāfat se gumāñ hotā hai
koī imkān abhī ḳhaak huā hai mujh meñ
ik chubhan hai ki jo bechain kiye rahtī hai
aisā lagtā hai ki kuchh TuuT gayā hai mujh meñ
yā to maiñ ḳhud hī rihā.ī ke liye huuñ be-tāb
yā giraftār koī mere sivā hai mujh meñ
ā.īna is kī gavāhī nahīñ detā to na de
vo ye kahtā hai koī ḳhaas adā hai mujh meñ
ho ga.ī dil se tirī yaad bhī ruḳhsat shāyad
āh-o-zārī kā abhī shor uThā hai mujh meñ
mujh meñ ābād haiñ ik saath adam aur vajūd
hast se bar-sar-e-paikār fanā hai mujh meñ
majlis-e-shām-e-ġharībāñ hai bapā chaar pahar
mustaqil bas abhī māhaul-e-azā hai mujh meñ
ho ga.ī shaq to bil-āḳhir ye anā kī dīvār
apnī jānib koī darvāza khulā hai mujh meñ
ḳhuuñ bahātā huā zanjīr-zanī kartā huā
koī pāgal hai jo behāl huā hai mujh meñ
us kī ḳhush-bū se mo'attar hai mirā saarā vajūd
tere chhūne se jo ik phuul khilā hai mujh meñ
mujh sā be-māya kahāñ aur kahāñ zom-e-kalām
ai mire rabb-e-suḳhan terī atā hai mujh meñ
tere jaane se yahāñ kuchh nahīñ badlā maslan
terā baḳhshā huā har zaḳhm harā hai mujh meñ
kaise mil jaatī hai āvāz-e-azāñ se har sub.h
raat bhar gūñjne vaalī jo sadā hai mujh meñ
kitnī sadiyoñ se use DhūñD rahe ho be-sūd
aao ab merī taraf aao ḳhudā hai mujh meñ
mujh meñ jannat bhī mirī aur jahannam bhī mirā
jārī-o-sārī jazā aur sazā hai mujh meñ
raushnī aise dhaḌakte to na dekhī thī kabhī
ye jo rah rah ke chamaktā hai ye kyā hai mujh meñ
kya bataun ki jo hangama bapa hai mujh mein
in dinon koi bahut saKHt KHafa hai mujh mein
us ki KHush-bu kahin atraf mein phaili hui hai
subh se raqs-kunan baad-e-saba hai mujh mein
teri surat mein tujhe DhunD raha hun main bhi
ghaaliban tu bhi mujhe DhunD raha hai mujh mein
ek hi samt har ek KHwab chala jata hai
yaad hai ya koi naqsh-e-kaf-e-pa hai mujh mein
meri be-rah-rawi is liye sarshaar si hai
mere haq mein koi masruf-e-dua hai mujh mein
apni sanson ki kasafat se guman hota hai
koi imkan abhi KHak hua hai mujh mein
ek chubhan hai ki jo bechain kiye rahti hai
aisa lagta hai ki kuchh TuT gaya hai mujh mein
ya to main KHud hi rihai ke liye hun be-tab
ya giraftar koi mere siwa hai mujh mein
aaina is ki gawahi nahin deta to na de
wo ye kahta hai koi KHas ada hai mujh mein
ho gai dil se teri yaad bhi ruKHsat shayad
aah-o-zari ka abhi shor uTha hai mujh mein
mujh mein aabaad hain ek sath adam aur wajud
hast se bar-sar-e-paikar fana hai mujh mein
majlis-e-sham-e-ghariban hai bapa chaar pahar
mustaqil bas abhi mahaul-e-aza hai mujh mein
ho gai shaq to bil-aKHir ye ana ki diwar
apni jaanib koi darwaza khula hai mujh mein
KHun bahata hua zanjir-zani karta hua
koi pagal hai jo behaal hua hai mujh mein
us ki KHush-bu se mo'attar hai mera sara wajud
tere chhune se jo ek phul khila hai mujh mein
mujh sa be-maya kahan aur kahan zom-e-kalam
ai mere rabb-e-suKHan teri ata hai mujh mein
tere jaane se yahan kuchh nahin badla maslan
tera baKHsha hua har zaKHm hara hai mujh mein
kaise mil jati hai aawaz-e-azan se har subh
raat bhar gunjne wali jo sada hai mujh mein
kitni sadiyon se use DhunD rahe ho be-sud
aao ab meri taraf aao KHuda hai mujh mein
mujh mein jannat bhi meri aur jahannam bhi mera
jari-o-sari jaza aur saza hai mujh mein
raushni aise dhaDakte to na dekhi thi kabhi
ye jo rah rah ke chamakta hai ye kya hai mujh mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.