kya kahun kya mila hai kya na mila
kyā kahūñ kyā milā hai kyā na milā
dil bhī shāyān-e-dilrubā na milā
talḳhi-e-zindagī are tauba
zahr meñ zahr kā mazā na milā
ham ko apnī ḳhabar na dāman kī
chashm-e-rahmat ko ik bahāna milā
laakh milne kā ek milnā hai
ki hameñ izn-e-iltijā na milā
fitna-e-rind-o-mohtasib tauba
barmalā koī pārsā na milā
thī baḌī bhiiḌ us ke kūche meñ
ḳhizr aa.e the rāstā na milā
kis se miliye 'ravish' ki dillī meñ
sab mile vo ḳhud-āshnā na milā
kya kahun kya mila hai kya na mila
dil bhi shayan-e-dilruba na mila
talKHi-e-zindagi are tauba
zahr mein zahr ka maza na mila
hum ko apni KHabar na daman ki
chashm-e-rahmat ko ek bahana mila
lakh milne ka ek milna hai
ki hamein izn-e-iltija na mila
fitna-e-rind-o-mohtasib tauba
barmala koi parsa na mila
thi baDi bhiD us ke kuche mein
KHizr aae the rasta na mila
kis se miliye 'rawish' ki dilli mein
sab mile wo KHud-ashna na mila
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.