kya karishma tha KHudaya der tak
kyā karishma thā ḳhudāyā der tak
ḳhud ko kho kar ḳhud ko paayā der tak
chhū ke lauTā jab tujhe merā ḳhayāl
hosh meñ vāpas na aayā der tak
kal koī jhoñkā havā kā chhū gayā
aur phir tū yaad aayā der tak
ham tirī āġhosh meñ the raat bhar
''māh-e-kāmil muskurāyā der tak''
kal tire ehsās kī bārish tale
merā sūnā-pan nahāyā der tak
sun ke bhīgī raat kī sargoshiyāñ
ik kuñvārā-pan lajāyā der tak
kya karishma tha KHudaya der tak
KHud ko kho kar KHud ko paya der tak
chhu ke lauTa jab tujhe mera KHayal
hosh mein wapas na aaya der tak
kal koi jhonka hawa ka chhu gaya
aur phir tu yaad aaya der tak
hum teri aaghosh mein the raat bhar
mah-e-kaamil muskuraya der tak
kal tere ehsas ki barish tale
mera suna-pan nahaya der tak
sun ke bhigi raat ki sargoshiyan
ek kunwara-pan lajaya der tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.