kya koi ganj-e-giran-maya chhupa hai mujh mein
kyā koī ganj-e-girāñ-māya chhupā hai mujh meñ
khojne vaale tū kyā khoj rahā hai mujh meñ
maiñ to ḳhāmosh huuñ hālāt kī saffākī par
jaane phir kaun hai jo chīḳh rahā hai mujh meñ
jis se ho paa.ī na tā-hāl shanāsā.ī mirī
log kahte haiñ ki ik zehn-e-rasā hai mujh meñ
phir masā.il ke yazīd aa.e haiñ bai'at lene
garm phir ma.arka-e-karb-o-balā hai mujh meñ
dosto mujh ko khañgāloge kahāñ tak āḳhir
mā-sivā-karb bhalā dūsrā kyā hai mujh meñ
na koī dard na ehsās na jazba na umang
ye bhī 'rāhī' koī jiine kī adā hai mujh meñ
kya koi ganj-e-giran-maya chhupa hai mujh mein
khojne wale tu kya khoj raha hai mujh mein
main to KHamosh hun haalat ki saffaki par
jaane phir kaun hai jo chiKH raha hai mujh mein
jis se ho pai na ta-haal shanasai meri
log kahte hain ki ek zehn-e-rasa hai mujh mein
phir masail ke yazid aae hain bai'at lene
garm phir marka-e-karb-o-bala hai mujh mein
dosto mujh ko khangaloge kahan tak aaKHir
ma-siwa-karb bhala dusra kya hai mujh mein
na koi dard na ehsas na jazba na umang
ye bhi 'rahi' koi jine ki ada hai mujh mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.