Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kya kya log KHushi se apni bikne par tayyar hue

Bashar Nawaz

kya kya log KHushi se apni bikne par tayyar hue

Bashar Nawaz

MORE BYBashar Nawaz

    kyā kyā log ḳhushī se apnī bikne par tayyār hue

    ek hamīñ dīvāne nikle ham yahāñ par ḳhvār hue

    pyaar ke bandhan ḳhuun ke rishte TuuT ga.e ḳhvāboñ tarah

    jāgtī āñkheñ dekh rahī thiiñ kyā kyā kārobār hue

    aap vo syāne raste ke har patthar ko but maan liyā

    ham vo pāgal apnī raah meñ aap ḳhud dīvār hue

    apnī apnī jagah par donoñ be-bas bhī masrūr bhī haiñ

    tum tahrīr-e-sañg hue ham bhūlā huā iqrār hue

    aane vaalī sub.h ginegī raat ke andhe tūfāñ meñ

    kitne sāhil par Duube kitne bhañvar ke paar hue

    kya kya log KHushi se apni bikne par tayyar hue

    ek hamin diwane nikle hum hi yahan par KHwar hue

    pyar ke bandhan KHun ke rishte TuT gae KHwabon ki tarah

    jagti aankhen dekh rahi thin kya kya karobar hue

    aap wo syane raste ke har patthar ko but man liya

    hum wo pagal apni rah mein aap hi KHud diwar hue

    apni apni jagah par donon be-bas bhi masrur bhi hain

    tum tahrir-e-sang hue hum bhula hua iqrar hue

    aane wali subh ginegi raat ke andhe tufan mein

    kitne sahil hi par Dube kitne bhanwar ke par hue

    Source :
    • Book : Karwaan-e-Ghazal (Pg. 248)
    • Author : Farooq Argali
    • Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd (2004)
    • Edition : 2004
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now