kya wasl ki saat ko tarasne ke liye tha
kyā vasl kī saa.at ko tarasne ke liye thā
dil shahr-e-tamannā tire basne ke liye thā
sahrā meñ bagūloñ kī tarah naach rahā huuñ
fitrat se maiñ bādal thā barasne ke liye thā
rotī huī ek bhiiḌ mire gird khaḌī thī
shāyad ye tamāsha mire hañsne ke liye thā
kuchh raat kā ehsāñ hai na sūraj kā karam hai
ġhuncha to bahar-hāl bikasne ke liye thā
is raah se guzrā huuñ jahāñ saañs na de saath
har naqsh-e-kaf-e-pā mire Dasne ke liye thā
har qatra mirī aañkh se bahne ko thā betāb
har zarra mire paañv jhulasne ke liye thā
kya wasl ki saat ko tarasne ke liye tha
dil shahr-e-tamanna tere basne ke liye tha
sahra mein bagulon ki tarah nach raha hun
fitrat se main baadal tha barasne ke liye tha
roti hui ek bhiD mere gird khaDi thi
shayad ye tamasha mere hansne ke liye tha
kuchh raat ka ehsan hai na suraj ka karam hai
ghuncha to bahar-haal bikasne ke liye tha
is rah se guzra hun jahan sans na de sath
har naqsh-e-kaf-e-pa mere Dasne ke liye tha
har qatra meri aankh se bahne ko tha betab
har zarra mere panw jhulasne ke liye tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.