kyun mili thi hayat yaad karo
kyuuñ milī thī hayāt yaad karo
yaad rakhne kī baat yaad karo
kaun chhūTā kahāñ kahāñ chhūTā
raah ke hādsāt yaad karo
abhī kal tak vafā kī rāhoñ meñ
tum bhī the mere saath yaad karo
mujh se kyā pūchhte ho haal mirā
ḳhud koī vārdāt yaad karo
jis dam āñkheñ milī thī āñkhoñ se
thī kahāñ kā.enāt yaad karo
bhuul aa.e jabīñ ko rakh ke kahāñ
kahāñ pahuñche the raat yaad karo
dil ko ā.īna gar banānā hai
aa.ine ke sifāt yaad karo
niklegā chāñd unhīñ añdheroñ se
un se milne kī raat yaad karo
chhoḌo jaane do jo huā so huā
aaj kyuuñ kal kī baat yaad karo
karnā hai shā.irī agar 'naushād'
'mīr' kā kulliyāt yaad karo
kyun mili thi hayat yaad karo
yaad rakhne ki baat yaad karo
kaun chhuTa kahan kahan chhuTa
rah ke hadsat yaad karo
abhi kal tak wafa ki rahon mein
tum bhi the mere sath yaad karo
mujh se kya puchhte ho haal mera
KHud koi wardat yaad karo
jis dam aankhen mili thi aankhon se
thi kahan kaenat yaad karo
bhul aae jabin ko rakh ke kahan
kahan pahunche the raat yaad karo
dil ko aaina gar banana hai
aaine ke sifat yaad karo
niklega chand unhin andheron se
un se milne ki raat yaad karo
chhoDo jaane do jo hua so hua
aaj kyun kal ki baat yaad karo
karna hai shairi agar 'naushad'
'mir' ka kulliyat yaad karo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.