kyuuñ na apnī ḳhūbi-e-qismat pe itrātī havā
phuul jaise ik badan ko chhū kar aa.ī thī havā
yuuñ ḳhayāl aatā hai us kā yaad aa.e jis tarah
garmiyoñ kī dopahar meñ shaam kī ThanDī havā
aur abhī sulgeñge ham kamre ke ātish-dān meñ
aur abhī kohsār se utregī barfīlī havā
ham bhī ik jhoñke se lutf-andoz ho lete kabhī
bhūle-bhaTke is galī meñ bhī chalī aatī havā
ek zahrīlā dhuāñ bikhrā ga.ī chāroñ taraf
sab ko andhā kar ga.ī aisī chalī andhī havā
us ne likh bhejā hai ye pīpal ke patte par mujhe
kyā tujhe raas aa ga.ī bijlī ke pañkhe kī havā
kyuuñ kar ai 'ābid' bujhā paatā maiñ apnī tishnagī
mujh tak aane hī se pahle ho gayā paanī havā
kyun na apni KHubi-e-qismat pe itraati hawa
phul jaise ek badan ko chhu kar aai thi hawa
yun KHayal aata hai us ka yaad aae jis tarah
garmiyon ki dopahar mein sham ki ThanDi hawa
aur abhi sulgenge hum kamre ke aatish-dan mein
aur abhi kohsar se utregi barfili hawa
hum bhi ek jhonke se lutf-andoz ho lete kabhi
bhule-bhaTke is gali mein bhi chali aati hawa
ek zahrila dhuan bikhra gai chaaron taraf
sab ko andha kar gai aisi chali andhi hawa
us ne likh bheja hai ye pipal ke patte par mujhe
kya tujhe ras aa gai bijli ke pankhe ki hawa
kyun kar ai 'abid' bujha pata main apni tishnagi
mujh tak aane hi se pahle ho gaya pani hawa
Source :
- Book : Tahreek Silver Jubilee Number (Pg. 433)
- Author : Gopal Mittal, Makhmoor Saeedi, Prem Gopal Mittal
-
Publication : Monthly Tahreek, 9, Ansari Market, Daryaganj, New Delhi-110002
(July, Aug., Sep. Oct. 1978,Volume No. 26,Issue No. 4,5,6,7,)
- Edition : July, Aug., Sep. Oct. 1978,Volume No. 26,Issue No. 4,5,6,7,
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.