kyun zulm Dha raha hun main apne wajud par
kyuuñ zulm Dhā rahā huuñ maiñ apne vajūd par
kīchaḌ uchhāltā huuñ maiñ apne vajūd par
inkār kar ke ḳhud hī maiñ apne vajūd kā
ġhussa utārtā huuñ maiñ apne vajūd par
kyā chāhtā huuñ ḳhud se mujhe ḳhud nahīñ patā
aur ta.an chhoḌtā huuñ maiñ apne vajūd par
Dar hai koī churā na le mujh se kabhī mujhe
pahre lagā rahā huuñ maiñ apne vajūd par
kar ke ḳhud apne saare subūtoñ ko mustarad
uñglī uThā rahā huuñ maiñ apne vajūd par
'nāyāb' mujh se faiz uThātā hai har koī
kab dāġh-e-bad-numā huuñ maiñ apne vajūd par
kyun zulm Dha raha hun main apne wajud par
kichaD uchhaalta hun main apne wajud par
inkar kar ke KHud hi main apne wajud ka
ghussa utarta hun main apne wajud par
kya chahta hun KHud se mujhe KHud nahin pata
aur tan chhoDta hun main apne wajud par
Dar hai koi chura na le mujh se kabhi mujhe
pahre laga raha hun main apne wajud par
kar ke KHud apne sare subuton ko mustarad
ungli uTha raha hun main apne wajud par
'nayab' mujh se faiz uThata hai har koi
kab dagh-e-bad-numa hun main apne wajud par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.