labon ke samne Khaali gilass rakhte hain
laboñ ke sāmne ḳhālī gilass rakhte haiñ
samundaroñ se kaho ham bhī pyaas rakhte haiñ
har ek gaam pe raushan huā ḳhudā kā gumāñ
isī gumāñ pe yaqīñ kī asaas rakhte haiñ
ham apne aap se paate haiñ kosoñ duur use
vahī ḳhudā ki jise ās-pās rakhte haiñ
chaḌhā ke dār-e-qanā.at pe har tamannā ko
jo ek dil hai use bhī udaas rakhte haiñ
ziyāñ-pasand hamārā mizāj hai varna
nigāh ham bhī zamāna-shanās rakhte haiñ
hamāre tan pe koī qīmtī qabā na sahī
ġhazal ko apnī magar ḳhush-libās rakhte haiñ
chalo ki rāh-e-tamannā meñ chal ke ham bhī 'farāġh'
zamīn-e-dil pe ġhamoñ kī asaas rakhte haiñ
labon ke samne KHali gilass rakhte hain
samundaron se kaho hum bhi pyas rakhte hain
har ek gam pe raushan hua KHuda ka guman
isi guman pe yaqin ki asas rakhte hain
hum apne aap se pate hain koson dur use
wahi KHuda ki jise aas-pas rakhte hain
chaDha ke dar-e-qanaat pe har tamanna ko
jo ek dil hai use bhi udas rakhte hain
ziyan-pasand hamara mizaj hai warna
nigah hum bhi zamana-shanas rakhte hain
hamare tan pe koi qimti qaba na sahi
ghazal ko apni magar KHush-libas rakhte hain
chalo ki rah-e-tamanna mein chal ke hum bhi 'faragh'
zamin-e-dil pe ghamon ki asas rakhte hain
- Book : Ghazal Ke Rang (Pg. 254)
- Author : Akram Naqqash, Sohil Akhtar
- Publication : Aflaak Publications, Gulbarga (2014)
- Edition : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.