laDkhaDati hawa roz kahti hai kya shahr walo suno
laḌkhaḌātī havā roz kahtī hai kyā shahr vaalo suno
ek paudā koī aaj phir jal gayā shahr vaalo suno
aa ga.e ret ke Dher dīvār tak balki bāzār tak
dasht ke haath likh deñ na phir faisla shahr vaalo suno
kyā sitam-ḳhez ujāloñ se achchhe hamāre añdhere nahīñ
jañgaloñ ne tumheñ kyā nahīñ kah diyā shahr vaalo suno
koī tum meñ yazīd aur shabbīr hai kis kī taqsīr hai
log kahne lage shahr ko karbalā shahr vaalo suno
ḳhaak muñh meñ mire ham pe kyā koī taaza balā aa.egī
ro rahā hai bahut din se koh-e-nidā shahr vaalo suno
phuul ban kar khilo koī ḳhushbū bano kuchh mudāvā karo
kah rahī hai falak nā-rasīda duā shahr vaalo suno
laDkhaDati hawa roz kahti hai kya shahr walo suno
ek pauda koi aaj phir jal gaya shahr walo suno
aa gae ret ke Dher diwar tak balki bazar tak
dasht ke hath likh den na phir faisla shahr walo suno
kya sitam-KHez ujalon se achchhe hamare andhere nahin
jangalon ne tumhein kya nahin kah diya shahr walo suno
koi tum mein yazid aur shabbir hai kis ki taqsir hai
log kahne lage shahr ko karbala shahr walo suno
KHak munh mein mere hum pe kya koi taza bala aaegi
ro raha hai bahut din se koh-e-nida shahr walo suno
phul ban kar khilo koi KHushbu bano kuchh mudawa karo
kah rahi hai falak na-rasida dua shahr walo suno
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 260)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.