lagta hai tabahi meri qismat se lagi hai
lagtā hai tabāhī mirī qismat se lagī hai
ye kaun sī āñdhī mire andar se uThī hai
us baar ujāloñ ne mujhe gher liyā thā
is baar mirī raat mire saath chalī hai
kaise koī bastī mire andar utar aa.e
is baar to tanhā.ī mirī jaag rahī hai
kaise koī dariyā mire siine se guzar jaa.e
raste meñ anā kī mirī dīvār khaḌī hai
vīrān havelī kī tarah ab mire andar
bhaTkī huī rūhoñ kī sadā guuñj rahī hai
is baar añdherā mire nas nas meñ bharā hai
is baar charāġhoñ se shikāyat bhī baḌī hai
lagta hai tabahi meri qismat se lagi hai
ye kaun si aandhi mere andar se uThi hai
us bar ujalon ne mujhe gher liya tha
is bar meri raat mere sath chali hai
kaise koi basti mere andar utar aae
is bar to tanhai meri jag rahi hai
kaise koi dariya mere sine se guzar jae
raste mein ana ki meri diwar khaDi hai
viran haweli ki tarah ab mere andar
bhaTki hui ruhon ki sada gunj rahi hai
is bar andhera mere nas nas mein bhara hai
is bar charaghon se shikayat bhi baDi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.