lagta hai wo aaj KHwab jaisa
lagtā hai vo aaj ḳhvāb jaisā
ik shaḳhs khulī kitāb jaisā
kyā is meñ hai mauj-e-āb jaisā
be-lams hai vo sarāb jaisā
har shaḳhs pe saañp reñgtā hai
hai zor-e-havas 'azāb jaisā
har shaḳhs ko ranj-e-nā-tamāmī
qisse ke adhūre baab jaisā
bātoñ meñ hai us kī zahr thoḌā
thoḌā sā mazā sharāb jaisā
maiñ 'aks huuñ aur ā.īna vo
rishta hai sarāb o aab jaisā
lagta hai wo aaj KHwab jaisa
ek shaKHs khuli kitab jaisa
kya is mein hai mauj-e-ab jaisa
be-lams hai wo sarab jaisa
har shaKHs pe sanp rengta hai
hai zor-e-hawas 'azab jaisa
har shaKHs ko ranj-e-na-tamami
qisse ke adhure bab jaisa
baaton mein hai us ki zahr thoDa
thoDa sa maza sharab jaisa
main 'aks hun aur aaina wo
rishta hai sarab o aab jaisa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.