lagta hai zinda rahne ki hasrat gai nahin
lagtā hai zinda rahne kī hasrat ga.ī nahīñ
mar ke bhī saañs lene kī aadat ga.ī nahīñ
shāyad ki rach ga.ī hai hamāre ḳhamīr meñ
sau baar sulh par bhī adāvat ga.ī nahīñ
aanā paḌā palaT ke hudūd o quyūd meñ
chhoḌī bahut thī phir bhī sharāfat ga.ī nahīñ
rahtī hai saath saath koī ḳhush-gavār yaad
tujh se bichhaḌ ke terī rifāqat ga.ī nahīñ
baaqī hai reze reze meñ ik irtibāt sā
yāsir bikhar ke bhī mirī vahdat ga.ī nahīñ
lagta hai zinda rahne ki hasrat gai nahin
mar ke bhi sans lene ki aadat gai nahin
shayad ki rach gai hai hamare KHamir mein
sau bar sulh par bhi adawat gai nahin
aana paDa palaT ke hudud o quyud mein
chhoDi bahut thi phir bhi sharafat gai nahin
rahti hai sath sath koi KHush-gawar yaad
tujh se bichhaD ke teri rifaqat gai nahin
baqi hai reze reze mein ek irtibaat sa
yasir bikhar ke bhi meri wahdat gai nahin
- Book : Ghazal Calendar-2015 (Pg. 08.05.2015)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.