lahakti lahron mein jaan hai kinare zinda hain
lahaktī lahroñ meñ jaañ hai kināre zinda haiñ
vajūd-e-āb ke sab isti.āre zinda haiñ
vo hijratoñ kī hikāyat tumheñ sunā.eñge
jinhoñ ne sar se ye tūfāñ guzāre zinda haiñ
hamāre karb kitāboñ meñ haiñ abhī mahfūz
vo saare safhe vo sab goshvāre zinda haiñ
azal se jabr o sadāqat kī jañg jaarī hai
abhī talak nahīñ mazlūm haare zinda haiñ
majālis-e-sitam-ījād kā nishān nahīñ
mohabbatoñ ke abhī tak idāre zinda haiñ
jo tere ġham meñ jale haiñ vo phir bujhe hī nahīñ
jab in kī raakh kuredo sharāre zinda haiñ
abhī tumhāre taḌapne ke din nahīñ aa.e
abhī to ḳhair se ḳhādim tumhāre zinda haiñ
ham apne jiine kā ab kyā javāz pesh kareñ
ki ab na ham na zamāne hamāre zinda haiñ
har ek shaḳhs ko is baat kā shu.ūr nahīñ
jo 'rām' haq pe mare haiñ vo saare zinda haiñ
lahakti lahron mein jaan hai kinare zinda hain
wajud-e-ab ke sab istiare zinda hain
wo hijraton ki hikayat tumhein sunaenge
jinhon ne sar se ye tufan guzare zinda hain
hamare karb kitabon mein hain abhi mahfuz
wo sare safhe wo sab goshware zinda hain
azal se jabr o sadaqat ki jang jari hai
abhi talak nahin mazlum haare zinda hain
majalis-e-sitam-ijad ka nishan nahin
mohabbaton ke abhi tak idare zinda hain
jo tere gham mein jale hain wo phir bujhe hi nahin
jab in ki rakh kuredo sharare zinda hain
abhi tumhaare taDapne ke din nahin aae
abhi to KHair se KHadim tumhaare zinda hain
hum apne jine ka ab kya jawaz pesh karen
ki ab na hum na zamane hamare zinda hain
har ek shaKHs ko is baat ka shuur nahin
jo 'ram' haq pe mare hain wo sare zinda hain
- Book : Funoon (Monthly) (Pg. 372)
- Author : Ahmad Nadeem Qasmi
- Publication : 4 Maklood Road, Lahore (Edition Nov. Dec. 1985,Issue No. 23)
- Edition : Edition Nov. Dec. 1985,Issue No. 23
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.