lahu ke sath tabiat mein sansanati phire
lahū ke saath tabī.at meñ sansanātī phire
ye shaam shām-e-ġhazal sī hai gungunātī phire
dhaḌak rahā hai jo pahlū meñ ye charāġh bahut
balā se raat jo aa.e to raat aatī phire
javāñ dinoñ kī havā hai chale chale hī chale
mire vajūd meñ Thahre ki aatī jaatī phire
ġhurūb-e-shām to din bhar ke fāsle par hai
kiran tulū kī utrī hai jagmagātī phire
ġham-e-hayāt nasha hai hayāt lambī kasak
lahū meñ Thokareñ khaa.e ki Dagmagātī phire
lo tai huā ki ḳhalā meñ hai mustaqar apnā
zamīn jaise pukāre jahāñ bulātī phire
lahu ke sath tabiat mein sansanati phire
ye sham sham-e-ghazal si hai gungunati phire
dhaDak raha hai jo pahlu mein ye charagh bahut
bala se raat jo aae to raat aati phire
jawan dinon ki hawa hai chale chale hi chale
mere wajud mein Thahre ki aati jati phire
ghurub-e-sham to din bhar ke fasle par hai
kiran tulu ki utri hai jagmagati phire
gham-e-hayat nasha hai hayat lambi kasak
lahu mein Thokaren khae ki Dagmagati phire
lo tai hua ki KHala mein hai mustaqar apna
zamin jaise pukare jahan bulati phire
- Book : Pakistani Adab (Pg. 314)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.