lamha lamha bikhar raha hun main
lamha lamha bikhar rahā huuñ maiñ
apnī takmīl kar rahā huuñ maiñ
ḳhuub se ḳhūb-tar hai rū-e-hayāt
na.e siñghār kar rahā huuñ maiñ
khulte jaate haiñ zehn ke aurāq
tajraboñ se guzar rahā huuñ maiñ
terā honā na maan kar goyā
tujh ko taslīm kar rahā huuñ maiñ
ḳhud se nā-āshnā sahī lekin
tujh se kab be-ḳhabar rahā huuñ maiñ
mahv aisā huuñ ḳhud-parastī meñ
goyā tujh se mukar rahā huuñ maiñ
lamha lamha bikhar raha hun main
apni takmil kar raha hun main
KHub se KHub-tar hai ru-e-hayat
nae singhaar kar raha hun main
khulte jate hain zehn ke auraq
tajrabon se guzar raha hun main
tera hona na man kar goya
tujh ko taslim kar raha hun main
KHud se na-ashna sahi lekin
tujh se kab be-KHabar raha hun main
mahw aisa hun KHud-parasti mein
goya tujh se mukar raha hun main
- Book : Seepiyon Mein Samandar (Poetry) (Pg. 108)
- Author : Ram avtar gupta ''muztar''
- Publication : Takhleeqkar Publishers (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.