lauT aaega kisi sham yahi lagta hai
lauT aa.egā kisī shaam yahī lagtā hai
jagmagā.eñge dar-o-bām yahī lagtā hai
ziist kī raah meñ tanhā jo bhaTaktī huuñ maiñ
ye vafāoñ kā hai in.aam yahī lagtā hai
ek muddat se musalsal huuñ safar meñ lekin
manzil shauq hai do-gām yahī lagtā hai
ik kalī bar sar-e-paikār ḳhizāoñ se hai
ye nahīñ vāqif-e-anjām yahī lagtā hai
mere aane kī ḳhabar sun ke vo dauḌā aatā
us ko pahuñchā nahīñ paiġhām yahī lagtā hai
mujh ko bhī kar degā rusvā vo zamāne bhar meñ
ḳhud bhī ho jā.egā badnām yahī lagtā hai
bhūlnā us ko hai āsān 'shabānā' lekin
mujh se hogā nahīñ ye kaam yahī lagtā hai
lauT aaega kisi sham yahi lagta hai
jagmagaenge dar-o-baam yahi lagta hai
zist ki rah mein tanha jo bhaTakti hun main
ye wafaon ka hai inam yahi lagta hai
ek muddat se musalsal hun safar mein lekin
manzil shauq hai do-gam yahi lagta hai
ek kali bar sar-e-paikar KHizaon se hai
ye nahin waqif-e-anjam yahi lagta hai
mere aane ki KHabar sun ke wo dauDa aata
us ko pahuncha nahin paigham yahi lagta hai
mujh ko bhi kar dega ruswa wo zamane bhar mein
KHud bhi ho jaega badnam yahi lagta hai
bhulna us ko hai aasan 'shabana' lekin
mujh se hoga nahin ye kaam yahi lagta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.