log yak-rangi-e-wahshat se bhi uktae hain
log yak-rangī-e-vahshat se bhī uktā.e haiñ
ham bayābāñ se yahī ek ḳhabar laa.e haiñ
pyaas buniyād hai jiine kī bujhā leñ kaise
ham ne ye ḳhvāb na dekhe haiñ na dikhlā.e haiñ
ham thake-hāre haiñ ai azm-e-safar ham ko sañbhāl
kahīñ saaya jo nazar aayā hai ghabrā.e haiñ
zindagī DhūñDh le tū bhī kisī dīvāne ko
us ke gesū to mire pyaar ne suljhā.e haiñ
yaad jis chiiz ko kahte haiñ vo parchhā.īñ hai
aur saa.e bhī kisī shaḳhs ke haath aa.e haiñ
haañ unhīñ logoñ se duniyā meñ shikāyat hai hameñ
haañ vahī log jo aksar hameñ yaad aa.e haiñ
is bayābān-e-dar-o-bām meñ kyā rakkhā hai
ham hī dīvāne haiñ sahrā se chale aa.e haiñ
log yak-rangi-e-wahshat se bhi uktae hain
hum bayaban se yahi ek KHabar lae hain
pyas buniyaad hai jine ki bujha len kaise
hum ne ye KHwab na dekhe hain na dikhlae hain
hum thake-haare hain ai azm-e-safar hum ko sanbhaal
kahin saya jo nazar aaya hai ghabrae hain
zindagi DhunDh le tu bhi kisi diwane ko
us ke gesu to mere pyar ne suljhae hain
yaad jis chiz ko kahte hain wo parchhain hai
aur sae bhi kisi shaKHs ke hath aae hain
han unhin logon se duniya mein shikayat hai hamein
han wahi log jo aksar hamein yaad aae hain
is bayaban-e-dar-o-baam mein kya rakkha hai
hum hi diwane hain sahra se chale aae hain
- Book : ajnabi-shahr-ajnabi-raaste(rekhta website) (Pg. 207)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.