lutf zindagani ka shauq-e-arzu mein hai
lutf zindagānī kā shauq-e-ārzū meñ hai
jazba-o-junūñ meñ hai sa.ī-o-justujū meñ hai
jo sukūn-e-ḳhātir hai us ke aib meñ dilkash
chāshnī hai luknat hai sehr guftugū meñ hai
us ke qurb kī lazzat mujh se kyā bayāñ hogī
be-panāh kaifiyyat sirf aarzū meñ hai
zahr zindagānī kā pī ke aql aa.ī hai
dārū-e-ġham-e-hastī talḳhī-e-subū meñ hai
bhiiḌ meñ zamāne kī ham sadā akele the
vo bhī duur hai kitnā jo rag-e-gulū meñ hai
baat 'jāmī'-sāhib kī talḳh bhī hai shīrīñ bhī
dard halkā halkā sā tarz-e-guftugū meñ hai
lutf zindagani ka shauq-e-arzu mein hai
jazba-o-junun mein hai sai-o-justuju mein hai
jo sukun-e-KHatir hai us ke aib mein dilkash
chashni hai luknat hai sehr guftugu mein hai
us ke qurb ki lazzat mujh se kya bayan hogi
be-panah kaifiyyat sirf aarzu mein hai
zahr zindagani ka pi ke aql aai hai
daru-e-gham-e-hasti talKHi-e-subu mein hai
bhiD mein zamane ki hum sada akele the
wo bhi dur hai kitna jo rag-e-gulu mein hai
baat 'jami'-sahib ki talKH bhi hai shirin bhi
dard halka halka sa tarz-e-guftugu mein hai
- Book : Shora-e-London (Pg. 182)
- Author : Jauhar Zahiri
- Publication : Books From India (U.K) Ltd. 45, Museum Street,Londan W.C-1 (1985)
- Edition : 1985
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.