mah o anjum ki raushni gum hai
maah o anjum kī raushnī gum hai
kyā har ik bazm se ḳhushī gum hai
chāñd dhuñdlā hai chāñdnī gum hai
husn vāloñ meñ dil-kashī gum hai
zindagī gum na dostī gum hai
ye haqīqat hai aadmī gum hai
is taraqqī ko aur kyā kahiye
shahr se sidq kī galī gum hai
phuul lākhoñ haiñ sehn-e-gulshan meñ
un kī hoñToñ kī go hañsī gum hai
mehnat-e-bāġh-bāñ kā zikr nahīñ
ġhul hai phūloñ se dil-kashī gum hai
hai taraqqī na.e adab kī ye
she’r se husn-e-shā.irī gum hai
ġham batāo 'kañval' kahāñ DhūñDūñ
bazm-e-ālam se dostī gum hai
mah o anjum ki raushni gum hai
kya har ek bazm se KHushi gum hai
chand dhundla hai chandni gum hai
husn walon mein dil-kashi gum hai
zindagi gum na dosti gum hai
ye haqiqat hai aadmi gum hai
is taraqqi ko aur kya kahiye
shahr se sidq ki gali gum hai
phul lakhon hain sehn-e-gulshan mein
un ki honTon ki go hansi gum hai
mehnat-e-bagh-ban ka zikr nahin
ghul hai phulon se dil-kashi gum hai
hai taraqqi nae adab ki ye
she’r se husn-e-shairi gum hai
gham batao 'kanwal' kahan DhunDun
bazm-e-alam se dosti gum hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.