māl-e-duniyā talāsh karnā hai
ya.anī rutba talāsh karnā hai
aaj insāñ ko tapte sahrā meñ
bahtā dariyā talāsh karnā hai
to kuñvārī hai kab se ai duniyā
terā rishta talāsh karnā hai
ab charāġhoñ kī lau nahīñ manzūr
yad-e-baizā talāsh karnā hai
dushmanī pyaar se bhī kuchh achchhā
darmiyāna talāsh karnā hai
kar chuke sair ham samundar kī
ab kināra talāsh karnā hai
mujh ko phir se kitāb-e-māzī meñ
terā chehrā talāsh karnā hai
'abr' duniyā ko chhoḌ jaane kā
ik bahāna talāsh karnā hai
mal-e-duniya talash karna hai
yani rutba talash karna hai
aaj insan ko tapte sahra mein
bahta dariya talash karna hai
to kunwari hai kab se ai duniya
tera rishta talash karna hai
ab charaghon ki lau nahin manzur
yad-e-baiza talash karna hai
dushmani pyar se bhi kuchh achchha
darmiyana talash karna hai
kar chuke sair hum samundar ki
ab kinara talash karna hai
mujh ko phir se kitab-e-mazi mein
tera chehra talash karna hai
'abr' duniya ko chhoD jaane ka
ek bahana talash karna hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.