Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mana ki sitare sar-e-aflak bahut hain

Ataur Rahman Jameel

mana ki sitare sar-e-aflak bahut hain

Ataur Rahman Jameel

MORE BYAtaur Rahman Jameel

    maanā ki sitāre sar-e-aflāk bahut haiñ

    ham ko bhī hamāre ḳhas-o-ḳhāshāk bahut haiñ

    khilte haiñ kidhar gul dil-e-sad-chāk bahut haiñ

    dāman haiñ kahāñ dīda-e-namnāk bahut haiñ

    itnā na hañso sāhab-e-idrāk bahut haiñ

    āhista chalo log tah-e-ḳhāk bahut haiñ

    miTne ko to miT jaate haiñ arbāb-e-mohabbat

    iksīr haiñ is raah meñ kam ḳhaak bahut haiñ

    jis rañg meñ chāhā tujhe us rañg meñ dekhā

    lamhe tirī furqat ke tarab-nāk bahut haiñ

    un ko bhī 'jamīl' apne muqaddar se gila hai

    vo log jo sunte the ki chālāk bahut haiñ

    mana ki sitare sar-e-aflak bahut hain

    hum ko bhi hamare KHas-o-KHashak bahut hain

    khilte hain kidhar gul dil-e-sad-chaak bahut hain

    daman hain kahan dida-e-namnak bahut hain

    itna na hanso sahab-e-idrak bahut hain

    aahista chalo log tah-e-KHak bahut hain

    miTne ko to miT jate hain arbab-e-mohabbat

    iksir hain is rah mein kam KHak bahut hain

    jis rang mein chaha tujhe us rang mein dekha

    lamhe teri furqat ke tarab-nak bahut hain

    un ko bhi 'jamil' apne muqaddar se gila hai

    wo log jo sunte the ki chaalak bahut hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now